Naqqash Kazmi

sukut-e-shab mein andheron ko muskurane de

Naqqash Kazmi

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1943
sukūt-e-shab meñ añdheroñ ko muskurāne de
bujhe charāġh to phir jism-o-jāñ jalāne de
dukhoñ ke ḳhvāb-numā nīm-vā darīchoñ meñ
vafūr-e-karb se tāroñ ko jhilmilāne de
jalānā chāhe agar chāhatoñ kā sūraj bhī
badan ke shahar ko is dhuup meñ jalāne de
tū apne sañg-numā ruuh ke safīne ko
ġham-e-vafā ke samundar meñ Duub jaane de
mire vajūd meñ kāñToñ kā ek jañgal hai
vo apnī zaat ke phūloñ meñ kyuuñ samāne de
kise ḳhabar hai ki ham donoñ apne qātil haiñ
jo be-ḳhabar haiñ unheñ chīḳh kar batāne de
huuñ muntazir ki koī aaj aane vaalā hai
ba-qadr-e-zauq dar-o-bām ko sajāne de
guzarte lamhoñ ke hamrāh TūTtā hai badan
visāl-e-yār kī lazzat kā baar uThāne de
maiñ pattharoñ kī tarah chup nahīñ ai tesha-ba-dast
vo aur hogā tujhe zarb jo lagāne de
jab apne paañv meñ zanjīr paḌ ga.ī hai to phir
chalā to jaatā nahīñ gard hī uḌāne de
bhaTak rahā huuñ bagūloñ ke rañg meñ 'naqqāsh'
badan to ḳhaak huā ruuh bhī jalāne de
Top Urdushayar.com