Naqqash Kazmi

phaila ke sar pe dard ki chadar chala gaya

Naqqash Kazmi

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1943
phailā ke sar pe dard kī chādar chalā gayā
ik shaḳhs merī ruuh pe nashtar chalā gayā
mujh se ḳhatā huī thī ki aisī mirā ḳhudā
nārāz ho ke shahr se bāhar chalā gayā
shīshe lahūluhān paḌe haiñ jo farsh par
khiḌkī pe koī maar ke patthar chalā gayā
bāhar kā shor itnā garāñ thā ki bahr-e-amn
har shaḳhs apnī zaat ke andar chalā gayā
Thahrā thā aa ke ek musāfir kabhī yahāñ
phir shahr-e-tan ko aag lagā kar chalā gayā
kābuk ko ḳhālī dekh kar kuḌhtā hai dil mirā
jaane kahāñ safed kabūtar chalā gayā
sūraj bhī thak ke Duub gayā shaam ho ga.ī
din-bhar jo mere saath thā vo ghar chalā gayā
āḳhir saroñ pe dhuup kī dīvār gir paḌī
achchhā huā maiñ saa.e se uTh kar chalā gayā
'naqqāsh' dil meñ pyaas kī kīleñ gaḌī rahīñ
qadmoñ meñ aa ke ek samundar chalā gayā
Top Urdushayar.com