har na.ī shaam ye ehsās huā ho goyā
merā saaya mire paikar se baḌā ho goyā
tere lahje meñ to thī hī tirī talvār kī kaaT
terī yādoñ meñ bhī ab zahar milā ho goyā
pichhle mausam meñ sabhī girya-kunāñ the magar ab
chashm-e-ḳhūñ-rañg meñ sailāb rukā ho goyā
chāñd niklā to mirī zaat ko andāza huā
us ne chupke se mirā naam liyā ho goyā
chun liyā maiñ ne to phir apnī mohabbat kā ḳhudā
us ko ab bhī hai gumāñ merā ḳhudā ho goyā
ek muddat se ḳhalāoñ meñ thiiñ āñkheñ raushan
ab ye aalam hai ki āñkhoñ meñ ḳhalā ho goyā
phuul khilne ko to naqqāsh khile ḳhvāb magar
mere zaḳhmoñ ke chaTaḳhne kī sadā ho goyā