Qamar Abbas Qamar

ye kaun hai jo sar-e-rozgar aaya hai

Qamar Abbas Qamar

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1993
ye kaun hai jo sar-e-rozgār aayā hai
kahā ki ishq kā parvardigār aayā hai
vo ek tā.ir-e-be-par azaab meñ jal kar
sab hijratoñ kī masāfat guzār aayā hai
hameñ na vasl ke qisse sunāo rahne do
hamāre haq meñ faqat intizār aayā hai
jo aayā shahr-e-adam se jahān-e-hastī meñ
ye vāqi.a hai ki be-iḳhtiyār aayā hai
ye kyā visāl ki āḳhir mirī mohabbat par
ba-vaqt-e-marg use e.atibār aayā hai
use ḳhabar hī nahīñ dil rah-e-mohabbat meñ
ġham-e-hayāt kā sadqa utaar aayā hai
qatīl-e-shauq-e-nazar hijratoñ kā maarā 'qamar'
tumhāre shahr se bas ashk-bār aayā hai
Top Urdushayar.com