yuuñ sitam Dhaa.e ga.e haiñ tire dīvāne par
zaḳhm ḳhud girya-kunāñ hai mire afsāne par
mujh ko yaksar hī alag rahnā paḌā hai tum se
aisā hotā hai kahīñ ishq ke mar jaane par
pahle yak-laḳht chale aate the milne ke liye
ab tavajjoh bhī nahīñ hai mire chillāne par
sozish-e-ġham kā charāġhoñ ko kahāñ andāza
raat chīḳh uThtī hai jalte hue parvāne par
maiñ samajhtā thā mirā dil hai mirī mānegā
usī kāfir kā huā jaatā hai samjhāne par
dard-e-furqat hī mirī maut kā sāmāñ hai 'qamar'
dil kisī taur bahaltā nahīñ bahlāne par