zamīñ par sar-nigūñ baiThā huā huuñ
aur apnā reza reza chun rahā huuñ
agar uljhan nahīñ koī to kyuuñ maiñ
musalsal sochtā huuñ jāgtā huuñ
asīr-e-roz-o-shab hai zindagānī
maiñ is takrār se uktā gayā huuñ
mirī uryāniyoñ par shor kyuuñ hai
agar andhoñ meñ nañgā ho gayā huuñ
tum apnī raushnī mahfūz rakhnā
tumhāre vāste maiñ bujh rahā huuñ
kahāñ tak bhāgtā ai shahr vaalo
so ab maiñ qatl hone aa gayā huuñ