yaqīñ kī had ko jā pahuñchā jo pahle thā gumāñ apnā
vahī mujrim nikal aayā jo Thahrā rāz-dāñ apnā
mirī hastī kā ab ehsās ḳhud mujh meñ nahīñ baaqī
dar-o-dīvār se maiñ pūchhtā huuñ ḳhud nishāñ apnā
dayār-e-ġhair meñ ummīd vo bhī dil-navāzī kī
tasallī dil ko mil jaatī jo hotā ham-zabāñ apnā
tumhāre hijr meñ jānāñ ye kaisā haal hai merā
na zāt-e-lā-makāñ apnī na imkān-e-makāñ apnā
hai maqtal meñ mirī gardan pe ḳhanjar us parī-vash kā
yahī thā mashġhala us kā yahī thā imtihāñ apnā
tujhe sahrā-navardī se 'qamar' kitnī mohabbat hai
jalā Daalā hai ḳhud hāthoñ se apne āshiyāñ apnā