Qamar Abbas Qamar

misal-e-mushk zaban se meri fasana gaya

Qamar Abbas Qamar

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1993
misāl-e-mushk zabāñ se mirī fasāna gayā
maiñ ik tarannum-e-ḳhush-lab jise sunā na gayā
guloñ ke ishq meñ ḳhāroñ se dostī kar lī
bas ek murġh-e-chaman thā jo āshiqāna gayā
huī thī rahnumā.ī magar ye jurm kā shauq
usī ke kūcha-e-qātil meñ mujrimāna gayā
kabhī tasavvur-e-jānāñ kabhī tasallī-e-dil
tumhārī yaad se ḳhālī kabhī rahā na gayā
mirā ye jurm bhī likh de mire navishte meñ
ki maiñ takalluf-e-ulfat meñ muḳhlisāna gayā
kitāb-e-zīst kī ta.abīr marg-e-dil hī to hai
jise sunā to gayā hai abhī paḌhā na gayā
siyāh raat kī tanhā.iyāñ ḳhudā kī panāh
'qamar'-nazhād thā dilbar to dil-barāna gayā
Top Urdushayar.com