shorish-e-harf hai ayāġh meñ kuchh
likh qalam manzil-e-balāġh meñ kuchh
dekhe jaatā hai vo qadam ke nishāñ
mil gayā hai use surāġh meñ kuchh
āftāb aur ye siyah-ḳhāna
tū ne dekhā hai dil ke daaġh meñ kuchh
saarī duniyā ko maar dī Thokar
aa gayā thā mire dimāġh meñ kuchh
zikr-e-bāġh-e-na.īm hai vallāh
lutf aane lagā farāġh meñ kuchh
bujh rahā hai ufuq pe ab sūraj
aap rakh dījiye charāġh meñ kuchh
ai 'qamar' aañkh se utar dil meñ
zau-fishānī ho dil ke baaġh meñ kuchh