dil ne merī nahīñ sunī tauba
kyā ajab hai ye be-dilī tauba
maiñ ne ḳhud ko niDhāl kar Daalā
ḳhush na aa.ī ye āshiqī tauba
qatl karte haiñ ādamiyat kā
aise hote haiñ aadmī tauba
vo jo rahtī thī ḳhāndānoñ meñ
ab sharāfat bhī mar ga.ī tauba
ek dariyā ko pī liyā ham ne
phir bhī baaqī hai tishnagī tauba
be-ḳhudī to zarā ġhanīmat thī
jān-levā hai āgahī tauba
jiite rahnā tire tasavvur meñ
zindagī hai ki ḳhud-kushī tauba
daur-e-hañgāma-e-jahāñ se 'qamar'
kaise guzregī zindagī tauba