ai umr-e-nāz tujh ko guzāre guzar na thā
ham boriyā-nashīnoñ kā koī bhī ghar na thā
duniyā-e-hast-o-būd meñ mere sivā tujhe
sab qābil-e-qubull the maiñ mo'atabar na thā
ye dil jo mere siine meñ bajtā hai rāt-din
vo dard sah chukā hai ki jo muḳhtasar na thā
ik chāñd ro rahā thā sar-e-āsmān-e-ishq
tāroñ kī anjuman meñ koī chāragar na thā
ye shor-o-ġhalġhala hai ki luTtā hai mai-kada
kyā vaañ pe koī 'ġhālib'-e-āshufta-sar na thā
the andarūn-e-zāt ka.ī laakh hādsāt
lekin tumhārī yaad se dil be-ḳhabar na thā
imkāñ chahār sū thā safar kā magar 'qamar'
tanhā khaḌā huā thā koī ham-safar na thā