Qamar Abbas Qamar

markaz-e-harf takallum tha bayan tak na hua

Qamar Abbas Qamar

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

1993
markaz-e-harf takallum thā bayāñ tak na huā
ik tirā zikr thā jo merī zabāñ tak na huā
shauq-e-parvāz meñ par TuuT ga.e taa.ir ke
vo yaqīñ thā ki mire dil ko gumāñ tak na huā
kyā ajab turfa-tamāshā hai tirī bastī meñ
maiñ ne ik umr guzārī hai makāñ tak na huā
jis ke hone pe na hone kā gumāñ hotā hai
vahī guldasta-e-jāñ sarf-e-ḳhizāñ tak na huā
maiñ ne duniyā tirī taḳhlīq pe sochā thā bahut
rāz-e-gum-gashta-e-mahbūb ayaañ tak na huā
bas ki ab ḳhatm huā silsila-e-soz-o-gudāz
dil mirā jal bhī gayā aur dhuāñ tak na huā
zindagī harf-e-fanā ke liye tahrīk 'qamar'
ruuh baaqī rahī aur koī ziyāñ tak na huā
Top Urdushayar.com