Farhat Abbas Shah

phul ki sukh ki saba ki zindagi

Farhat Abbas Shah

1964
phuul kī sukh kī sabā kī zindagī
muḳhtasar hai kyuuñ vafā kī zindagī
kis ne dekhā hai ḳhudā kī maut ko
kis ne dekhī hai ḳhudā kī zindagī
haath paañv mārnā be-kār hai
jī rahe haiñ ham ḳhalā kī zindagī
bārhā bhī maut se hai sāmnā
aazmā lī bārhā kī zindagī
dard sahne kā alag andāz hai
jī rahe haiñ ham adā kī zindagī
chāhe jañgal hoñ yā sahrā yā nagar
asl meñ tū hai havā kī zindagī
Top Urdushayar.com