Farhat Abbas Shah

zindagi ke bahut masail hain

Farhat Abbas Shah

1964
zindagī ke bahut masā.il haiñ
har qadam par pahāḌ haa.il haiñ
ai dil-e-be-qarār muddat se
ham tirī vahshatoñ ke qaa.il haiñ
aise takte haiñ aap kī jānib
jaise mausam nahīñ haiñ saa.il haiñ
phuul ḳhushbū havā shajar bārish
ek terī taraf hī maa.il haiñ
fāsla to bahut hī kam hai magar
darmiyāñ meñ ka.ī masā.il haiñ
us ke chehre ke sāmne 'farhat'
rañg aur raushnī bhī zaa.il haiñ
sirf sahrāoñ hī kī baat nahīñ
bastiyoñ meñ bhī tere ghāyal haiñ
Top Urdushayar.com