Farhat Abbas Shah

tu apne hone ka har ek nishan sambhaal ke mil

Farhat Abbas Shah

1964
tū apne hone kā har ik nishāñ sambhāl ke mil
yaqīñ sambhāl ke mil aur gumāñ sambhāl ke mil
ham apne baare kabhī mushta.il nahīñ hote
faqīr log haiñ ham se zabāñ sambhāl ke mil
vajūd-e-vāhima vīrāniyoñ meñ ghūmtā hai
ye be-karāñ hai to phir be-karāñ sambhāl ke mil
ye marhale haiñ ajab is liye samundar se
huā ko thaam ke mil bādbāñ sambhāl ke mil
agarche dost haiñ saare hī ās-pās magar
usuul ye hai ki tīr-o-kamāñ sambhāl ke mil
tū kaisī ġhair-yaqīnī fazā meñ miltā hai
koī to lamha kabhī darmiyāñ sambhāl ke mil
phir us ke ba.ad to shāyad rahe rahe na rahe
tamām umr kā sūd-o-ziyāñ sambhāl ke mil
Top Urdushayar.com