gar duā bhī koī chiiz hai to duā ke havāle kiyā
jā tujhe aaj se ham ne apne ḳhudā ke havāle kiyā
ek muddat huī ham ne duniyā kī har ek zid chhoḌ dī
ek muddat huī ham ne dil ko vafā ke havāle kiyā
is tarah ham ne terī mohabbat zamāne ke hāthoñ meñ dī
jis tarah gul ne ḳhushbū ko bād-e-sabā ke havāle kiyā
bebasī sī ajab zindagī meñ ik aisī bhī aa.ī ki jab
ham ne chup-chāp hāthoñ ko rasm-e-hinā ke havāle kiyā
ḳhuun ne terī yādeñ sulagtī huī raat ko sauñp diiñ
āñsuoñ ne tirā dard rūkhī havā ke havāle kiyā