ḳhushbū sā badan yaad na sāñsoñ kī havā yaad
ujḌe hue bāġhoñ ko kahāñ bād-e-sabā yaad
aatī hai pareshānī to aatā hai ḳhudā yaad
varna nahīñ duniyā meñ koī tere sivā yaad
jo bhūle se bhūle haiñ magar tere alāva
ik bichhḌā huā dil hameñ aatā hai sadā yaad
maiñ to huuñ ab ik umr se pachhtāvoñ kī zad meñ
kyā tum ko bhī aatī hai kabhī apnī ḳhatā yaad
mumkin hai bhalā kaise ilāj-e-ġham-e-jānāñ
jab koī davā yaad na hai koī duā yaad