kaun hai nek kaun bad hai yahāñ
kis ke hāthoñ meñ ye sanad hai yahāñ
khulte jaate haiñ kā.enāt ke bhed
jo azal hai vahī abad hai yahāñ
jo nazar aa.e vo haqīqat hai
jo kahā jaa.e mustanad hai yahāñ
kitnī muddat se dekhtā huuñ maiñ
ik tamāshā-e-ḳhāl-o-ḳhad hai yahāñ
jo kisī taur jal nahīñ paa.e
un charāġhoñ kī koī had hai yahāñ
apnī pahchān ke liye 'zulfī'
kyā shumār aur kyā adad hai yahāñ