tū ne dekhā hai kabhī ek nazar shaam ke ba.ad
kitne chup-chāp se lagte haiñ shajar shaam ke ba.ad
itne chup-chāp ki raste bhī raheñge lā-ilm
chhoḌ jā.eñge kisī roz nagar shaam ke ba.ad
maiñ ne aise hī gunah terī judā.ī meñ kiye
jaise tūfāñ meñ koī chhoḌ de ghar shaam ke ba.ad
shaam se pahle vo mast apnī uḌānoñ meñ rahā
jis ke hāthoñ meñ the TuuTe hue par shaam ke ba.ad
raat biitī to gine aable aur phir sochā
kaun thā bā.is-e-āġhāz-e-safar shaam ke ba.ad
tū hai sūraj tujhe ma.alūm kahāñ raat kā dukh
tū kisī roz mire ghar meñ utar shaam ke ba.ad
lauT aa.e na kisī roz vo āvāra-mizāj
khol rakhte haiñ isī aas pe dar shaam ke ba.ad