Tasleem Ilahi Zulfi

ab KHana-ba-doshon ka pata hai na KHabar hai

Tasleem Ilahi Zulfi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1947
ab ḳhāna-ba-doshoñ kā pata hai na ḳhabar hai
koī hai nazar-band koī shahr-badar hai
phir fasl-e-bahār aa.ī parinde nahīñ aa.e
vīrān abhī tak mire āñgan kā shajar hai
qāmat hī mayassar hai use aur na chehra
ye kaun sī maḳhlūq hai kaisā ye nagar hai
maiñ dhuup uThā.e hue chup-chāp khaḌā huuñ
is dasht meñ hastī mirī mānind-e-shajar hai
phir dekhnā ye umr bhī baḌh jā.egī kuchh roz
us shaḳhs ke lauT aane kā imkān agar hai
jo shahr thā vo qarya-e-vīrān hai 'zulfī'
jo ghar thā kisī daur meñ ab rāhguzar hai
Top Urdushayar.com