bas dar-o-dīvār mil jaate haiñ ghar miltā nahīñ
aisā dastāroñ kā jamghaT hai ki sar miltā nahīñ
ḳhvāh donoñ saath mil kar tai kareñ ye fāsla
ai havā tujh ko bhī koī ham-safar miltā nahīñ
qumqumoñ kī aañch ne pighlā diye manzar tamām
chāñd ab koī kisī bhī baam par miltā nahīñ
ik taqāzā huuñ jo puurā hī nahīñ hotā kabhī
sach yahī hai aur is sach se mafar miltā nahīñ