ḳhush-navā.ī tere nairañg se Dar lagtā hai
marhabā suniye to āhañg se Dar lagtā hai
ho kharā baañT to tulne se nahīñ koī gurez
haañ magar jumbish-e-pāsañg se Dar lagtā hai
maslahat kā ye kafan rakhtā hai be-dāġh hameñ
ahl-e-īmān haiñ ham-rañg se Dar lagtā hai
ham jo talvār uThā leñ to qayāmat aa jaa.e
haañ magar ye ki hameñ jañg se Dar lagtā hai
fāsla dil kā hai duniyā se mahz ik farsañg
aur hameñ bas usī farsañg se Dar lagtā hai
Dar nahīñ lagtā kisī ḳhvāb se ham ko lekin
us kī ta.abīr kī farhañg se Dar lagtā hai
āhanī azm hoñ par aañkh bhī nam hai merī
bhīge mausam meñ mujhe zañg se Dar lagtā hai
sar ko dīvār se mahfūz rakhā hai pa 'nasīm'
apnī muTThī meñ chhupe sañg se Dar lagtā hai