Naseem Siddiqi

zinda rahne mein hun shamil aur na mar jaane mein hun

Naseem Siddiqi

zinda rahne meñ huuñ shāmil aur na mar jaane meñ huuñ
sūrat-e-tasvīr meñ bhī ā.ina-ḳhāne meñ huuñ
yā ba-shakl-e-jins huuñ hissa kisī bāzār kā
yā kisī kirdār kā mānind afsāne kā huuñ
ek pal huuñ sikka-e-rā.ej ba-tuzk-o-ihtishām
dūsre pal kauḌiyoñ ke mol bik jaane ko huuñ
hai ḳhasāra hī ḳhasāra saarī hastī sab vajūd
maiñ bhī shāmil huuñ usī meñ aur harjāne meñ huuñ
huuñ kabhī maiñ sāġhar-e-sairābī-e-kaun-o-makāñ
tishnagī ban kar kabhī hastī ke paimāne meñ huuñ
nā-murādāna hī sargarm-e-amal huuñ dahr meñ
maiñ na paane ke taqāze meñ na kho jaane meñ huuñ
Top Urdushayar.com