rasta bhī hamī log the raahī bhī hamīñ the
aur apnī masāfat kī gavāhī bhī hamīñ the
jo jañg chhiḌī thī use jiite bhī hamīñ log
ran chhoḌ ke bhāge vo sipāhī bhī hamīñ the
vo shahr basā bhī thā hamārī hī badaulat
is shahr-e-tamannā kī tabāhī bhī hamīñ the
raushan bhī hamī se rahī taqdīr hamārī
aur apne muqaddar kī siyāhī bhī hamīñ the
hai daam jo dariyā meñ vo pheñkā thā hamīñ ne
us daam meñ phañstī huī maahī bhī hamīñ the