zaḳhm sunte haiñ lahū boltā hai
chaak chup hai to rafū boltā hai
ḳhāmushī aisī ki dekhī na sunī
har taraf ālam-e-hū boltā hai
ḳhvāb samjhūñ ki haqīqat is ko
ik parinda lab-e-jū boltā hai
maiñ ki mar kar bhī abhī zinda huuñ
jism par har sar-e-mū boltā hai
ab to ik naam atā kar yārab
kas-o-nā-kas mujhe tū boltā hai
vo namāzeñ ki adā ho na sakīñ
ab bhī sahrā meñ vuzū boltā hai