Ramz Afaqi

ghar hai tera tu shauq se aane ke liye aa

Ramz Afaqi

1914
ghar hai tirā tū shauq se aane ke liye aa
lekin maiñ ye chāhūñgā na jaane ke liye aa
ye ruḳh bhī mohabbat kā dikhāne ke liye aa
aa mujh se nazar pher ke jaane ke liye aa
muddat se huuñ maiñ terī mulāqāt kā tālib
aa mujh pe koī zulm hī Dhāne ke liye aa
paimānoñ se piite haiñ piyeñ rind-e-ḳharābāt
tū mujh ko nigāhoñ se pilāne ke liye aa
arbāb-e-ḳhirad ko hai baḌā naaz ḳhirad par
tū un ko bhī dīvāna banāne ke liye aa
kyā maiñ tire is lutf ke qābil bhī nahīñ huuñ
ai jān-e-vafā dil hī dukhāne ke liye aa
bardāsht ise ishq kī ġhairat na karegī
kyuuñ tujh se kahūñ maiñ ki zamāne ke liye aa
Top Urdushayar.com