Ramz Afaqi

tumhaara qurb wajh-e-iztirab-e-dil na ban jae

Ramz Afaqi

1914
tumhārā qurb vaj.h-e-iztirāb-e-dil na ban jaa.e
ye mushkil sahl ho kar phir kahīñ mushkil na ban jaa.e
are o tishna-lab ye pyaas ye andāz piine kā
samundar ghaTte ghaTte duur tak sāhil na ban jaa.e
ye mashkūk aadmī luuTe haiñ jis ne kārvāñ barsoñ
duā māñgūñ kahīñ ye rahbar-e-manzil na ban jaa.e
chalā to huuñ tirā baḳhshā huā zauq-e-talab le kar
ḳhayāl is kā rahe ye sa.i-e-lā-hāsil na ban jaa.e
jise merī mohabbat ne sarāpā lutf samjhā hai
kisī ruḳh se vahī insāñ mirā qātil na ban jaa.e
nazar apnī rahe us vaqt tak mamnūn-e-nazzāra
dil-e-jalva-talab jab tak mah-e-kāmil na ban jaa.e
kisī ko 'ramz' mazlūmī ke is ehsās ne maarā
vo apnoñ kī nazar meñ rahm ke qābil na ban jaa.e
Top Urdushayar.com