vo jo bhī baḳhsheñ vo in.aam le liyā jaa.e
malāl hī dil-e-nākām le liyā jaa.e
baḌā maza hameñ is bandagī meñ hāsil ho
jo sub.h o shaam tirā naam le liyā jaa.e
rahe na tā.er-e-sidra bhī apnī zad se duur
use bhī aao tah-e-dām le liyā jaa.e
hamārī jaan se ġham ne liye hazāroñ kaam
hamārī ḳhaak se bhī kaam le liyā jaa.e
muravvatoñ se adāvat badal to saktī hai
agar ḳhulūs se kuchh kaam le liyā jaa.e
ye chashm-e-mast tirī sāqi-e-hayāt-afroz
ye tujh se kyuuñ na tirā jaam le liyā jaa.e
baḌā kamāl ham is baat meñ samajhte haiñ
baḳhīl logoñ se in.aam le liyā jaa.e
sazā se pahle ye hākim ko chāhiye ai 'ramz'
bayān-e-maurid-e-ilzām le liyā jaa.e