ḳhvāb pahle le gayā phir rat-jagā bhī le gayā
jaate jaate vo mire ghar kā diyā bhī le gayā
dhuup hai ab aur na bādal hai na ḳhushbū aur na phuul
saare mausam le gayā āb-o-havā bhī le gayā
zindagī ai zindagī tai ho masāfat kis tarah
samt-e-manzil le gayā vo rāsta bhī le gayā
ek muddat ho ga.ī baiThā huuñ sañg-e-mīl par
rāstoñ ke saath apne naqsh-e-pā bhī le gayā
haath patthar ho ga.e lab kapkapāte rah ga.e
vo duā bhī le gayā dast-e-duā bhī le gayā
kaise dekhūñgā maiñ 'zulfī' apne chehre kī kitāb
vo gayā to aarzū kā aa.ina bhī le gayā