jhilmilāte hue aañsū bhī ajab hote haiñ
shām-e-furqat ke ye jugnū bhī ajab hote haiñ
ye adā husn kī ham kyuuñ nazar-andāz kareñ
us ke bikhre hue gesū bhī ajab hote haiñ
qatl ho koī to kaañp uThtī hai saarī duniyā
dard-e-insāñ ke ye pahlū bhī ajab hote haiñ
kis ko giit apne sunāte haiñ vahāñ kyā kahiye
naġhma-ḳhvānān-e-lab-e-jū bhī ajab hote haiñ
is ḳharābī se to māmūr hai saarā aalam
ye fāsādāt-e-man-o-tū bhī ajab hote haiñ
valvale dil ke na mālūm kidhar le jaa.eñ
kashti-e-dil ke ye chappū bhī ajab hote haiñ
bhā.iyoñ ke sitam o jaur ko kyā tum se kahūñ
'ramz' ye quvvat-e-bāzū bhī ajab hote haiñ