jab un ke pā-e-nāz kī Thokar meñ aa.egā
kitnā ġhurūr raah ke patthar meñ aa.egā
saudā-e-ishq kahte haiñ ahl-e-ḳhirad jise
kyā jaane kab ye vasf mire sar meñ aa.egā
aisī jagah makān banānā na thā mujhe
jañgal tamām uḌ ke mire ghar meñ aa.egā
mujh se nikal ke jā.egā qātil mirā kahāñ
ik din to mere sāmne mahshar meñ aa.egā
ham ḳhud hī kyuuñ na kar leñ sitam jān-e-zār par
kyā is se farq shān-e-sitamgar meñ aa.egā
saare hī āb-o-gil ke safar maiñ ne kar liye
ab āsmān bhī mirī Thokar meñ aa.egā
mausūm hai jo zahr-e-halāhal ke naam se
ab vo mire nasīb ke sāġhar meñ aa.egā
ye kyā ḳhabar thī 'ramz' ki āzād hone par
sailāb-e-ḳhūñ umaD ke har ik ghar meñ aa.egā