aañkh sahmī huī Dartī huī dekhī ga.ī hai
amn kī fāḳhta martī huī dekhī ga.ī hai
kyā bachā kitnā bachā taab kise hai dekhe
mauj-e-ḳhūñ sar se guzartī huī dekhī ga.ī hai
aise lagtā hai yahāñ se nahīñ jaane vaalī
jo siyah-rāt Thahartī huī dekhī ga.ī hai
dūsrī baar huā hai ki yahī dost huā
par parindoñ ke katartī huī dekhī ga.ī hai
ek ujḌī huī hasrat hai ki pāgal ho kar
bain har shahr meñ kartī huī dekhī ga.ī hai
maut chamkī kisī shamshīr-e-barhana kī tarah
raushnī dil meñ utartī huī dekhī ga.ī hai
phir kināre pe vahī shor vahī log 'razā'
phir koī laash ubhartī huī dekhī ga.ī hai