Rafi Raza

aana jaana hai to qamat se tum aao jao

Rafi Raza

Chenab Nagar, Punjab, Pakistan

1962
aanā jaanā hai to qāmat se tum aao jaao
dar-e-iz.hār-e-muravvat se tum aao jaao
vo tahayyur jo tumheñ le ke yahāñ aayā thā
us tahayyur kī visātat se tum aao jaao
ham kisī samt bagūloñ ko nahīñ rokte haiñ
garmi-e-zuaq sharārat se tum aao jaao
kaf uḌāne pe bhī pābandī nahīñ hai koī
haañ magar thoḌī nafāsat se tum aao jaao
hameñ ummīd-e-balāġhat to nahīñ hai tum se
bas zarā thoḌī bulūġhat se tum aao jaao
kis ne rokā hai sar-e-rāh-e-mohabbat tum ko
tumheñ nafrat hai to nafrat se tum aao jaao
tum ki tiflān-e-adab saath lagā.e hue ho
kisī manqūl sharī.at se tum aao jaao
ham ne ash.ār kā darvāza khulā rakkhā hai
jab bhī jī chāhe sahūlat se tum aao jaao
Top Urdushayar.com