Rafi Raza

zamin ka bojh aur us par ye aasman ka bojh

Rafi Raza

Chenab Nagar, Punjab, Pakistan

1962
zamīñ kā bojh aur us par ye āsmān kā bojh
utaar pheñk duuñ kāñdhoñ se do-jahān kā bojh
paḌā huā huuñ maiñ sajde meñ kah nahīñ paatā
vo baat jis se ki halkā ho kuchh zabān kā bojh
phir is ke baad uThā.ūñgā apne aap ko maiñ
uThā rahā huuñ abhī apne ḳhāndān kā bojh
dabī thī aañkh kabhī jis makān-e-hairat se
ab us makāñ se ziyāda hai lā-makān kā bojh
agar dimāġh sitāra hai TuuT jā.egā
chamak chamak ke uThātā hai āsmān kā bojh
to jhurriyoñ ne likhā aur kyā uThāoge
uThāyā jaatā nahīñ tum se jism o jaan kā bojh
palaT ke aa.ī jo ġhaflat ke us kurre se nigah
to silvaToñ meñ paḌā thā mirī thakān kā bojh
jo umr biit ga.ī us ko bhuul jā.ūñ 'razā'
pur-ḳhayāl se jhaTkūñ ga.ī uḌaan kā bojh
Top Urdushayar.com