Rafi Raza

lams ko chhoD ke KHushbu pe qanaat nahin karne wala

Rafi Raza

Chenab Nagar, Punjab, Pakistan

1962
lams ko chhoḌ ke ḳhushbū pe qanā.at nahīñ karne vaalā
aisī-vaisī to maiñ ab tum se mohabbat nahīñ karne vaalā
mujh se behtar koī duniyā meñ kitābat nahīñ karne vaalā
par tire hijr kī maiñ jald ishā.at nahīñ karne vaalā
apne hī jism ko kal us ne mirī āñkhoñ se puurā dekhā
is se baḌh kar koī manzar kabhī hairat nahīñ karne vaalā
maz.hab-e-ishq se mansūb ye bāteñ to ḳhārij kī haiñ
shām-e-hijrāñ maiñ kisī taur maiñ shirkat nahīñ karne vaalā
aisī bhagdaḌ meñ koī paaoñ tale aa.e to shikva na kare
gir gayā maiñ to koī mujh se ri.āyat nahīñ karne vaalā
lau larazne kā koī aur hī matlab na nikal aa.e kahīñ
pūchhne par bhī charāġh aur vazāhat nahīñ karne vaalā
mujhe chalte hue raste ke shajar dekhte jaate haiñ 'razā'
par mire saath ukhaḌ kar koī hijrat nahīñ karne vaalā
Top Urdushayar.com