kabhī jo ḳhaak kī taqrīb-e-rū-numā.ī huī
bahut uḌegī vahāñ bhī mirī uḌaa.ī huī
ḳhudā kā shukr-e-suḳhan mujh pe mehrbān huā
bahut dinoñ se thī luknat zabāñ meñ aa.ī huī
yahī hai ġhazz-e-basar ye hai dekhnā merā
rahegī aañkh tahayyur meñ DabDabā.ī huī
tumhārā merā ta.alluq hai jo rahe so rahe
tumhāre hijr ne kyuuñ Taañg hai aḌaa.ī huī
pakaḌ liyā gayā jaise ki maiñ lagātā huuñ
bujhā rahā thā kisī aur kī lagā.ī huī
lahū lahū huā sajde meñ dil agarche 'razā'
shab-e-shikast baḌe zor kī laḌā.ī huī