Rafi Raza

raat main shana-e-idrak se lag kar soya

Rafi Raza

Chenab Nagar, Punjab, Pakistan

1962
raat maiñ shāna-e-idrāk se lag kar soyā
band kī aañkh to aflāk se lag kar soyā
ūñghtā thā kahīñ mehrāb kī sarshārī meñ
ik diyā sā kisī chaqmāq se lag kar soyā
ek jaltā huā aañsū jo nahīñ sotā thā
der tak dīda-e-namnāk se lag kar soyā
an-ginat āñkheñ mire jism pe chuñdhyā.ī rahīñ
buqa-e-nūr mirī ḳhaak se lag kar soyā
kūza-gar ne mire baare meñ ye daftar meñ likhā
chaak se utrā magar chaak se lag kar soyā
niiñd kī shart thī tanhā nahīñ sonā mujh ko
hijr thā so usī saffāk se lag kar soyā
raat kāñToñ pe guzārī to savere sochā
kis liye ḳhema-e-ushshāq se lag kar soyā
niiñd suulī pe chalī aa.ī sau zaḳhm-e-uryāñ
apnī ik ḳhvāhish-e-poshāk se lag kar soyā
Top Urdushayar.com