ek majzūb udāsī mere andar gum hai
is samundar meñ koī aur samundar gum hai
bebasī kaisā parinda hai tumheñ kyā mālūm
use mālūm hai jo mere barābar gum hai
charḳh-e-sau rañg ko fursat ho to DhūñDe us ko
nīl-gūñ soch meñ jo mast qalandar gum hai
dhuup chhāñv kā koī khel hai bīnā.ī bhī
aañkh ko DhūñD ke laayā huuñ to manzar gum hai
sañg-rezoñ meñ mahaktā hai koī surḳh gulāb
vo jo māthe pe lagā thā vahī patthar gum hai
ek madfūn dafīna inhīñ atrāf meñ thā
ḳhaak uḌtī hai yahāñ aur vo gauhar gum hai