Rafi Raza

peD sukha harf ka aur faKHtaen mar gain

Rafi Raza

Chenab Nagar, Punjab, Pakistan

1962
peḌ sūkhā harf kā aur fāḳhtā.eñ mar ga.iiñ
lab na khole to ghuTan se sab duā.eñ mar ga.iiñ
ek din apnā sahīfa mujh pe nāzil ho gayā
us ko paḌhte hī mirī saarī ḳhatā.eñ mar ga.iiñ
yaad kī gudḌī ko maiñ ne ek din pahnā nahīñ
ek din ke hijr meñ saarī balā.eñ mar ga.iiñ
maiñ ne mustaqbil meñ jā kar ek lambī saañs lī
phir mire maazī kī sab hāsid havā.eñ mar ga.iiñ
maiñ ne kyā sochā thā un ke vāste aur kyā huā
mere chup hone se andar kī sadā.eñ mar ga.iiñ
is taraf miTTī thī mere us taraf ik nuur thā
maiñ jiyā mere liye do intihā.eñ mar ga.iiñ
Top Urdushayar.com