agarche vaqt munājāt karne vaalā thā
mirā mizāj savālāt karne vaalā thā
mujhe salīqa na thā raushnī se milne kā
maiñ hijr meñ guzar-auqāt karne vaalā thā
maiñ sāmne se uThā aur lau larazne lagī
charāġh jaise koī baat karne vaalā thā
khulī huī thiiñ badan par ravāñ ravāñ āñkheñ
na jaane kaun mulāqāt karne vaalā thā
vo mere kāba-e-dil meñ zarā sī der rukā
ye haj adā vo mire saath karne vaalā thā
kahāñ ye ḳhaak ke tode tale dabā huā jism
kahāñ maiñ sair-e-samāvāt karne vaalā thā