ik ajnabī ḳhayāl meñ ḳhud se judā rahā
niiñd aa ga.ī thī raat magar jāgtā rahā
sañgīn hādsoñ meñ bhī hañstī rahī hayāt
patthar pe ik gulāb hamesha khilā rahā
duniyā ko us nigāh ne dīvāna kar diyā
maiñ vo sitam-zarīf ki bas dekhtā rahā
ik ajnabī mahak sī lahū meñ rachī rahī
naġhma sā jān-o-tan meñ koī gūñjtā rahā
ab jā ke ye khulā ki har ik shaḳhs dosto
har shaḳhs ko libās se pahchāntā rahā
fikr-e-suḳhan meñ raat jo aayā ḳhayāl-e-'mīr'
tā-der Diary pe qalam kāñptā rahā
'sāġhar' tamām umr kī gardish ke bāvajūd
maiñ us nigāh-e-nāz se nā-āshnā rahā