Saghar Mehdi

hazar ham-safaron mein safar akela hai

Saghar Mehdi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1932-1980
hazār ham-safaroñ meñ safar akelā hai
ye intishār ki ik ik bashar akelā hai
gulū-burīda sabhī haiñ magar zah-e-tauqīr
buland nok-e-sināñ par ye sar akelā hai
na pattiyāñ haiñ na phal-phūl phir bhī chhāñv to dekh
sunā thā maiñ ne ki ġham kā shajar akelā hai
ye bhiiḌ ḳhaak dikhā.egī shān-e-be-jigarī
ye us kā haq hai jo sīna-sipar akelā hai
lipaT ke ruuh se kahtā rahā badan kal raat
na jaao chhoḌ ke mujh ko ki ghar akelā hai
matā-e-qalb-o-jigar kis ko sauñp duuñ 'sāġhar'
hujūm-e-be-hunarī meñ hunar akelā hai
Top Urdushayar.com