Kumar Pashi

ab bhi pal pal ji dukhta hai

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
ab bhī pal pal jī dukhtā hai
jaise sab kuchh abhī huā hai
kabhī na phir milnā ho jaise
aaj vo mujh se yuuñ bachhḌā hai
bādal to khul kar barsā thā
phir bhī saarā din jaltā hai
ham bhī kabhī ḳhush ho lete the
aaj achānak yaad aayā hai
sāvan ho patjhaḌ ho ki gul-rut
dil har mausam meñ tanhā hai
badan badan ḳhushbū phailī hai
ghuñghaT ghuñghaT phuul khilā hai
maiñ huuñ mor ghane jañgal kā
tū kaalī ghanghor ghaTā hai
maiñ ik dukh se bharī kahānī
tū mīThā sundar sapnā hai
'pāshī' kis kī mad.h meñ tum ne
aaj itnā kuchh kah Daalā hai
Top Urdushayar.com