Kumar Pashi

KHushbu-e-dard ke baghair rang-e-jamal ke baghair

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
ḳhushbū-e-dard ke baġhair rañg-e-jamāl ke baġhair
kaise guzar ga.ī hayāt hijr-o-visāl ke baġhair
in meñ tirā hī rañg hai in meñ tirā hī ruup hai
phūloñ kī kyā misāl duuñ terī misāl ke baġhair
merī talab ko paḌh liyā us kī nigāh-e-tez ne
sau sau haiñ uzr us ke paas mere savāl ke baġhair
tū merā hausla to dekh phir huuñ usī ke rū-ba-rū
tīr-o-tabar haiñ us ke paas aur maiñ Dhaal ke baġhair
baḌh jā tū mujh ko rauñd kar manzil-e-nau kī le ḳhabar
terā uruuj hai muhāl mere zavāl ke baġhair
'pāshī' vo dil kā shahr ho dasht ho yā vo bahr ho
raushan nahīñ koī jagah un ke jamāl ke baġhair
Top Urdushayar.com