Kumar Pashi

apne gird-o-pesh ka bhi kuchh pata rakh

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
apne gird-o-pesh kā bhī kuchh patā rakh
dil kī duniyā to magar sab se judā rakh
likh bayāz-e-marg meñ har jā anal-haq
aur kitāb-e-zīst meñ bāb-e-ḳhudā rakh
us kī rañgat aur nikhregī ḳhizāñ meñ
ye ġhamoñ kī shāḳh hai is ko harā rakh
aa hī jā.egī udāsī baal khole
aaj apne dil kā darvāza khulā rakh
yuuñ bhī bah jā.egā sab sail-e-balā meñ
apne ghar ke sab dar-o-dīvār Dhā rakh
nā-murādī kā unheñ bhī tajraba ho
un ke raste meñ bhī koī sānehā rakh
sansanātī raat ke aane se pahle
dil meñ jaatī dhuup kā TukḌā sajā rakh
besh-qīmat haiñ ye dil ke zaḳhm 'pāshī'
in charāġhoñ ko havāoñ se bachā rakh
Top Urdushayar.com