maiñ DhūñDhtā huuñ jise aaj bhī havā kī tarah
vo kho gayā hai ḳhalā meñ mirī sadā kī tarah
na pūchh mujh se mirā qissa-e-zavāl-e-junūñ
maiñ pāniyoñ pe barastā rahā ghaTā kī tarah
tamām umr rahā huuñ maiñ jism meñ mahsūr
tamām umr kaTī hai mirī sazā kī tarah
utaar de koī mujh par se ye badan kī ridā
ki maar Daale mujhe bhī mire ḳhudā kī tarah
nikhartā jaa.e yūñhī rañg-e-shām ai 'pāshī'
bikhartā jā.ūñ yuuñ hī maiñ gul-e-navā kī tarah