Kumar Pashi

mahfil mein kisi ki humne unhen ek bar zara dekha hi to hai

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
mahfil meñ kisī kī ham ne unheñ ik baar zarā dekhā hī to hai
yuuñ naam pe un ke dhaḌke hai dil goyā un se rishta hī to hai
yādoñ ke suhāne mausam meñ us garm-badan kī aañch liye
chal nikle haiñ ham yuuñ ḳhush ḳhush hai jaise vo idhar rahtā hī to hai
ham kuchh bhī kaheñ lekin un se jo ek ta.alluq thā na rahā
rishte kī haqīqat kyā ma.anī bas TuuT gayā dhāgā hī to hai
kyā kyā na ajab lamhe guzre tanhā.ī-e-shab meñ is dil par
ḳhush-fahmī ki sab kah Dālūñgā jaise vo mirī suntā hī to hai
be-samt chale to haiñ lekin ham jānte haiñ anjām-e-safar
bekār hai jī ko kalpānā do-chār ghaḌī chalnā hī to hai
aap apne se bāhar aa kar bhī sab dekh liyā sab jaan liyā
aalam hai ye saarā bhed bharā parde se pare pardā hī to hai
tanhā.ī meñ shām-e-furqat kī ye soch ke ḳhush hai jī apnā
aa.egā manā leñge us ko jaise vo idhar aatā hī to hai
har sinf-e-suḳhan ko 'pāshī'-jī ik tarz na.ī dī hai ham ne
har ik se alag har ik se judā har sher meñ aks apnā hī to hai
Top Urdushayar.com