Kumar Pashi

teri yaad ka har manzar pas-manzar likhta rahta hun

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
terī yaad kā har manzar pas-manzar likhtā rahtā huuñ
dil ko varaq banātā huuñ aur shab bhar likhtā rahtā huuñ
bharī do-pahrī saa.e banātā rahtā huuñ maiñ lafzoñ se
tārīkī meñ baiTh ke māh-e-munavvar likhtā rahtā huuñ
ḳhvāb sajātā rahtā huuñ maiñ bujhī bujhī sī āñkhoñ meñ
jis se sab mahrūm haiñ use mayassar likhtā rahtā huuñ
chhāñv na bāñTe peḌ to apnī ātish meñ jal jaatā hai
sirf yahī ik baat maiñ use barābar likhtā rahtā huuñ
kyā batlā.ūñ 'pāshī' tum ko sañg-diloñ kī bastī meñ
motī sochtā rahtā huuñ maiñ gauhar likhtā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com