duur kisī ko yaad aatā huuñ raat mujhe pāgal kartī hai
ghar se duur nikal jaatā huuñ raat mujhe pāgal kartī hai
ik anjāne shahr meñ dekhūñ shakl koī jānī-pahchānī
us kī or khiñchā jaatā huuñ raat mujhe pāgal kartī hai
duur des ik ghar hai apnā jaise koī ik sundar sapnā
sapne meñ ḳhud ko paatā huuñ raat mujhe pāgal kartī hai
'pāshī' dil ko chain na aa.e ghereñ un kī yaad ke saa.e
raat aa.e to ghabrātā huuñ raat mujhe pāgal kartī hai