Kumar Pashi

teri shikast hai zahir tera zawal aTal

Kumar Pashi

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1935-1992
tirī shikast hai zāhir tirā zavāl aTal
yahī hai terā muqaddar ki apnī aag meñ jal
ḳhatā ki tū ne kī yāroñ ke qatl kī ḳhvāhish
sazā ki apne janāze ko ḳhud uThā kar chal
kisī tarah se miTā de ye naqsh-hā-e-yaqīñ
kisī tarah se bhī is shahr-e-ārzū se nikal
sitam ki TuuT rahā hai tilism-e-harf-o-navā
fuġhāñ ki bujhne lagī hai ḳhayāl kī mash.al
'elīnāpā' bhī nahīñ aur vo bevafā bhī nahīñ
sunā.eñ shahr meñ 'pāshī' kise ye taaza ġhazal
Top Urdushayar.com